na laila majnu ki kahaani
na heer ranjhaa ki pareshaani
yeh ishq na hota hai teri kaaya se
na fastaa hai yeh teri maaya mein
yeh ojhal hai sabki nazron se
yeh rahta nahee dil mein
jisne dil se keeya usne dillagi ki
kisi ke naseeb mein thi kisi ki rah gaeee
main toh dhoond raha hoon woh ishq
jo mujhko bhula de
na baney us tarah ki ho jo chilm ka kash
har saans se dhuein mein ud jaaye
main toh dhoond raha hoon woh loh
jo ki mere khoon mein ghul kar main ban jaaye
na jaanu mein aatma na jaanu main khudaa
na maanu yeh dhad tera na uski banaavat
jo tu mujhe samajh sake to samajh
main dhoondo aisa ishq
jo mujhe ishq samjhaa sake
Saturday, December 22, 2007
Subscribe to:
Posts (Atom)