Monday, April 23, 2007

main azaad hoon

is desh ko naheen zaroorat hai gandhi ki ab
is desh ko naheen chahiye ek mahatma
grast hai yeh ek dar main
dar jo kahta hai ki tu haar jaayega
dar jo kahta hai ki kal khaana naheen milega
dar jo kahta hai ki teri awaaz dheemi padh jaayegi
dar jo kahta hai ki tera khoon bahega
dar jo dikhlaata hai tere ghar waalon ke aansoon
dar jo dikhlaata hai gareebi ke nazaare
dar jo dikhlaata hai gaaon ke toote huey raaste
dar jo dikhlaata hai teri maut
naheen! chahiye to desh ko hai woh
jo kahey ki naheen main naheen dartaa
bas ab main aur naheen dartaa
leh lo yeh khoon mera
aur cheer do mere dil ko
naheen main ab aur apney se pyaar naheen kartaa
dekh mujhe khul kar saans lete huey
main azaad hoon
main azaad hoon
azaad hoon...

No comments:

Post a Comment