Wednesday, June 27, 2007

in memory

abhi saansein aur bhi hain
yuun to main jaane se raha
tumpar mera karzaa aur bhi hai
yuun to main bhulaane se raha
kya hua ki ab meri aankhein naheen khuli
mere yaar to abhi tabeeyat se hain
kya hua ki duniya kal mujhe dekhegi naheen
abhi tummein meri yaadein taazaa to hain
main yuun dhuaan banne se raha

No comments:

Post a Comment